Classification: Makki Rukus: 1 Ayahs: 11 Subject: Consolation & instructions for the Prophet ﷺ Related Surah: 94. Surah Sharah
- Yeh Surah tab naazil hui thi jab Huzoor ﷺ par wahi aana band hui hogayi thi galiban Islam ke shru waly dor mein.
- Tab Huzoor paak ﷺ kafi pareshan rehty thy aya ke mujhse koi galti to nahi hogayi jis wajha se Allah paak mujhse naraz hogye hein.
- Din ki dhoop charhne ki.
- Raat ki jab wo chha jaye.
- Wajha? Yeh dono zaroori hain. Ujala aor andhera. Sukh aor dukh.
- Isi liye nafs Insani ke yeh waqfa (mushqil gari/ depression) zaroori hai.
- Allah aap ﷺ se naraz nahi howe.
- Aagy aany waqt (mushqil/depression ki gari k bad) behtr hoga.
- Anqareeb aapko apna Rab itna kuch de ga k aap raazi hojaye gy.
- Yateem paya phr bhi aapke liye apke dada aor chacha ke dil mein muhabbat jaghai.
- Hidayat ataa ki jab aap talash e haqeeqt mein thy.
- Jab aap tang dast thy to aap ko gani kardia (Hazrat Bibi Khudaija se nikah).
- Yateem par sakhti na karna.
- Sawali ko jharkna nahi. Jab aap talash e haqeeqt mein thy to aap ﷺ ko Allah talah ne hidyat ataa ki usi tarah aap ﷺ bhi sawali ko rah dikhayen.
- Jo Allah ki nemat hai uska tazkra karo. Yani jo Allah paak ne aapko diya hai (Hidayat/nemat) usko aam karo aor logon tak ponchao.