Classification: Makki Rukus: 1 Ayahs: 11 Subject: Qayamat aor Shukarguzari Related Surahs: 99. Surah Zilzaal, 101. Surah Qari'ah and 102. Surah Takathur
- Woh ghore jo apne malik ke ek ishare par apni jaan jokhem mein dal kar dushman ke safon me ghuss jaty hein.
- Wo apne malik ke sath bht wafadar hain.
- Insan to bas usko chara khilata hai aor thori si malish waghera karta hai to wo ghora uska itna wafadar aor shukr wala ban jata hai.
- Halaan ke insan to bas uska khayal rakhne wala hai, Khaliq nai. Lekin woh ghora phr bhi itna wafadar hai.
- Yani ek ghora agar apne khayal rakhne waly malik ka itna wafadar hoskata hai to insaan apne Khaliq wa Malik ka wafadar aor na shukra kiyu bana howa hai?
- Halan ke usko pata hai ke wo na shukri kar raha hai.
- Yeh maal-o-dolat ki muhabbat mein aa kar insaan ghaafil hojata.
- Kiya insan ko nahi pata us din ka jab qabron mein jo kuch hai wo nikala jaye ga.
- Jo insaan ke dil mein hoga woh raaz zahir kar diye jaye gy.
- Us din Allah Paak sab ki khabar le le ga. Sab ka hisab hoga.
- اَللّٰهُمَّ حَاسِبْنِىْ حِسَا بًا يَّسِيْرًا = Aye Allah, hum se asaan hisab le.